Website
Dukaan, clinic, coaching, boutique
Aapke business ka apna page — phone par do second me khulta hai aur WhatsApp par bhejne layak lagta hai. Ek page ho ya poora site, jaisa business waisa design.
Abhi naye kaam ke liye khula — jawab ek din me
Kirana, clinic, coaching, boutique ya hardware — jo chahiye wahi banega. Bhaari system nahi, chhupa charge nahi. Price pehle likh kar, aur site live hone par domain, hosting aur login aapke naam par.
Chaar cheezein
Har chhote business ko ek hi cheez chahiye: log aapko dhoondh sakein, aapka roz ka kaam asaan ho, aur aapki pehchaan yaad rahe. Teeno yahin se — ek hi jagah, ek hi aadmi se.
Dukaan, clinic, coaching, boutique
Aapke business ka apna page — phone par do second me khulta hai aur WhatsApp par bhejne layak lagta hai. Ek page ho ya poora site, jaisa business waisa design.
Khata, billing, booking, stock
Jitna kaam hai utna hi — bhaari software aur training ke chakkar nahi. Browser me chalta hai, isliye phone, laptop ya dukaan ke computer par bina install kiye kaam karta hai.
Naam, rang, card, board
Naam, logo, rang, font, visiting card aur board — sab ek hi family me. Dukaan ki pehchaan phone par bhi waisi hi lagti hai jaisi shutter par.
Jab readymade software kaam na kare
Apna dashboard, admin panel, report ya internal tool — jo market me nahi milta, aapke kaam ke hisaab se banta hai. Login, database aur backup ke saath.
Bana hua, chalta hua
Ye screenshot nahi hain — ye live hain, aaj bhi chal rahe hain. Har project ek asli problem se shuru hua: college lab ka code, browser me editing, students ke notes.
College computer lab ke liye poora cloud platform: browser me Python IDE, students ke beech file sharing aur video call, aur browser me hi classic Turbo C++.
bcahub.pages.devAI ka text paste karo, asli handwriting jaisi notes PDF ban jaati hain — cover page, page numbers, multi-part topic aur edit ki suvidha ke saath.
createnotes.pages.devBrowser me HTML, CSS aur JavaScript likho, group me saath edit karo, do tarah ka backup rakho aur ek click me poora project host karo.
codeone.pages.devPoora technical side ek page par — 10 kaam ke area, live projects, padhai aur certificates. Yahan se poori capability dekh sakte hain.
nikhilkumarmaurya.pages.devPrice pehle
Sabse pehle main likh kar deta hoon ki kitna lagega aur usme kya-kya aayega. Uske baad kaam shuru hota hai. Beech me naya charge nahi judta.
Chhoti dukaan, naya business, ya ek hi service
Jab customer ko poora bharosa chahiye
Jab website se aage kaam chahiye
Teen kadam
Aap batate hain business kya hai, customer kaun hai aur kya miss ho raha hai. Main seedha solution aur fixed price likh kar deta hoon — pehle se.
Pehle design dikhta hai, kaam baad me. Jo pasand na aaye wo shuru me hi badalta hai — launch ke baad nahi.
Site live, domain, hosting aur saara login aapke naam par. Launch ke baad bhi chhote badlav aur support — ek message par.
Kaun banata hai
Pichhle ek saal me 10 se zyada projects banaye aur live chadhaaye — college ke liye code platform, notes studio, code editor, chat app. Sab kuch khud design kiya, test kiya aur deploy kiya. Isliye jab aap baat karte hain, to jo banayega usi se baat hoti hai — beech me koi sales team nahi.
Local business ko local samajhne wala banda chahiye — jo bhasha bhi samjhe. Gonda se hoon, paas me hoon, aur kaam bolne me jitna aasan hai, karne me bhi utna seedha rakhta hoon.
Sawaal
Main solution aur fixed price likh kar deta hoon — pehle se. Jawab ek din ke andar.